Me


Yeh baat nhi ke tmhe nhi milta
Ek umr ho gyi me kisi se nhi milta

Mere apne meri kirno ko taras rahe hai
Ek mai hu jo khud se v nhi milta

Kisi ki yaad me tanha jee raha hu
Ki dil v usse mila jisse muqaddar nhi milta

Aye khuda Tu jannat de ya jahannam bus bula le
Yaha kisi kone me sukoon nhi milta

Mene to ek muddat guzaar di unke intezaar main
Ek wo hai jinhe yaad krne ko waqt nhi milta

Log shayar samajh ke mera dard sunne aajate hai
Are jaao, tmhe koi aur nhi milta..

_________________________________________

wo galiyon ka yaraana
wo khel purana

wo purani bastia
wo kaagaz ki kashtiya

wo baaten meethi meethi
wo chhato p angeethi

na insta na whatsapp
bs galio me gapshap

na dosti ka mtlab
na matlab ki dosti

wo akbar birbal ki kahani
wo school me baraf paani

wo galiyo ke raaste chhote mote
wo lattuo ki chote

na tu bada na mai chhota
wo kalli wo jhota

wo shinchan, himawari aur herry
wo oggy, tom aur jerry

Kaha gye wo din
jab nhi reh sakte the dosto ke bin

Kayi dosto ki to yaad v tab aati hai
Jab mere status P unki "send me" Request aati hai 😅

Bohot se khwaab jo adhoore ho gye
Kuch dost jo pados me rehke v door ho gye

Ya Allah wo pal fir waapas dila de
Kuch log jo so gye hai unhe jaga de..

_________________________________________


Der se sahi lambe raaste se ghar to pahuchunga

Teri gali se to guzarna bekaar hai..

Hum gareeb log to pedal hi paar kar lenge ye jaam

Tum btao tmhare paas to car hai

_______________________________________________

Ye apno ki apno se saajish
Ye be waqto ki baarish

Maao ka rona, baap ki na farmaani
Hawao me Corona, aur aafat-e-aasamaani

Ab deewaro se kar baatein, yahi naseeb me hai
Dar mat beta Qayamat ab kareeb me hai

Ab bhi waqt hai raah-e-khuda p chalne lagjaa
Chhod dar-e-makhlooq aur rab se dar ne lagjaa

Ab bhi nhi sambhal rahe aasaar-e-qayamat dekh kr
Kya tabhi sukoon milega apno ki mayyat dekh kr

Raza-e-rab pe raazi reh
Ye dil-e-aarzoo kesa
Khuda maalik
Khuda khaliq
Khuda ka huqm too kesa..

_________________________________________

Dard kya hota hai humein ab ma'aloom hua
Chot lag jaane ko dard samajh bethe the.

Galati krdi zindagi ko ek mauka de kar
Hum fir bewafa ko wafa samajh bethe the.

Ab to sattar sajdoh se ek sajdeh ka sawaab milta hai.. (2)
Hum is tekhaane ko jannat samajh bethe the..

___________________________________________


Har dil lagi muhabbat nhi hoti
Har chaahat jismaani nhi hoti

Har tanhaan Aashiq nhi hota
Har yaad gaar akela nhi rota

Har muskuraahat haseen nhi hoti
Raat guzar jaati hai pr yaad poori nhi hoti

Kisne kaha me akela hu.. (2)
Sirf paa lena hi muhabbat nhi hoti.

____________________________________________

Ek gum Aaya tha mujhe barbaad krne.. (2)
Mere kareeb jo aaya to jagah hi na mili.

Wafa ka pataa leke ghoom aaya mashriq se magrib... (2)
Wafa to waba ho gyi k kisi jagah hi na mili. 

______________________________________________


Aaj fir apne dard ko kaagzo p utaarne betha hu
Socha tha gum-e-dil ka rukh mod loonga
Aaj fir wahi aa betha hu
Ye chaar deewaare hi to thi meri humsar-e-zindagi
Kal deewaar p teri jhalak dekh inse v mooh mod betha hu
Ye mat soch mera maqsad-e-zindagi na tha kuch
Wo alag baat hai teri liye zindagi bhula betha hu
Aaj fir apne dard ko kaagzo p utaarne betha hu..
_____________________________________

Gum is baat ka nhi k gum hai
Gum is baat ka hai k use gum nhi

Gum is baat ka nhi k use paa n sake
Gum is baat ka hai k use paa nhi sakte

Gum is baat ka nhi k arso guzar gye
Gum is baat ka hai k hum nhi guzre..
__________________________________________

Jaanta hu tera mil jana mumkin nhi
Fir v tera gumaan kr dil ko achcha lagta hai

Mere marz ko dawa to asr nhi krti
Tu jab muskura ke dekhti hai to achcha lagta hai

Din to guzar jaata hai mashgooliyaat ke saath
Shab me teri jhalak dikhe to achcha lagta hai

Laakh bura kahe zamana koi gila nhi
Tu jab pukaarti hai to achcha lagta hai
______________________________________________

Muhabbat ko muhabbat se hi shifaa milti hai
Tu koi mareez nhi jo dawaa dhoond raha hai

Aur dimaag se to tujhe kabka bhool chuka hu
Kambakht dil hai fir koi bahaana dhoond raha hai.
_______________________________________________

Koi gunaah hota to malaal to hota
Bin gunaah ki sazaa kaant raha hu

Tum to soti ho aur subah ho jati hai
Mujhse poocho kese din kaant raha hu
________________________________________________

Meri zindagi ek khaamosh samundr ki tarah hai
Aur khushiyaan.. 😌
Khushiyaan to un lehron ki tarah hai jo saahil (kinaare) tak pahunchti to hai magar rukti nhi..
________________________________________________

Mera dard zamane ko kese maloom hua
Mene kab zamane ko bola hai

Mere daakhil hone se v gila thi tujh ko
Fir kis aas me tune darwaaza khola hai

Jaagte rahe kisi khyaal mai aur fir sehri ho gyi
Mera Allah janta hai mene kese Roza Khola hai.
_____________________________________________

Tu ek alag zindagi hai aur laash hum hai.. 😌
Tu ek haqeekat hai aur Raaz hum hai.. 😌
Hume chhod k jis mehfil m jaa bethi ho
Yaad rakhna us mehfil k mehmaan-e-khaas hum hai 😎
_______________________________________________
Ha yeh bhi ek dard hai k mere dard p log wah wah karte hai..
_______________________________________________

Aaj v tere khaatir chup raha
Aur zamaane ko waqt nhi laga mujhe kaayar samajhne main

Ab me kehna kuch chahta hu aur log samajhte kuch hai
Thoda waqt to lagta hai alfaaz-e-shaayar samajhne main
_______________________________________________

Dil aur dimaag se bhula sakta tha so bhulaa diya
Ab khwaab to mere bas mein nhi.
________________________________________________

Tujhe paane ki jab har ummeed kho chuka tha
To kisi ne khuda ka pta yaad dilaaaya
Soch raha hu kal se nafli ibaadat bda du.
_________________________________________________

Aur wese bhi mene paaya hi kya tha
Jise khone ka gum ho.
_________________________________________________

Kisi ki raato ki neend ud gyi
To koi chain se so raha hai

Koi gairo me khush hai
To koi apno main ro raha hai

Koi hamari kamyaabi se khush hai
To koi nafrat k beej bo raha hai

Koi ibaadat m mashgool hai
To koi nafs k taabe imaan kho raha hai

Aisi to nhi sochi thi mene duniya
Khuda Tu hi bta ye kya ho raha hai
_________________________________________________

Har khwaab apna nhi hota
Har gum khwaar apna nhi hota
Ab to sab paraaye hai tere
Jisne maa khodi uska koi apna nhi hota
_________________________________________________

Tujhe aana hi nhi tha to bta deti
Tera intezaar humein turbat tk le aaya
_________________________________________________

Na jaane aisa kon sa taala laga hai
Mere darwaaze p
Jo mujhe nhi magar khushio ko dikhai
De jata hai
_________________________________________________

Hum to aise hi jeete aarahe hai
Tmhare liye naya hoga ye LOCKDOWN
_________________________________________________

Arso ho gye mere aangan mein din nhi nikla
Aur tm poochhte ho "kal raat soye nhi"
_________________________________________________

Hum toh kab se mehfil mein bethein the
Tm hi ne gaur ab kra hai
_________________________________________________

No comments:

Post a Comment

By me

Hum to aise hi jeete aarahe hai Tmhare liye naya hoga ye LOCKDOWN            .. By Suhail